Friday 9 March 2012

Socha Naa Tha...

Guzre jo haseen lamhe the saath tere
woh dhoop aur woh barish ke lamhe
socha na tha kabhi teri bheegi hasee ko taras jayenge
aur socha na tha rango se un lamho ko
kore kagaj par kaid karne ki koshish mein
girte aansun se woh tasveer bigad jaegi

chup jata hai jab chand us badal mein
woh khuli aankhein aur tanha raat ka akelapan
socha na tha khulein balon ko tere phir na chu payenge
aur socha na tha un balon ki khusboo ko
foolon mein dhundhane ki koshish mein
hum sara aasheeya hi ujad denge

ladte hai jo do yaar kahin bazaar mein
woh aashiqi mein ghula zara sa pagalpan
socha na tha tere nakhron par phir muskura na payenge
aur socha na tha sirf usi dupatte ki aad mein
woh naya jahan banane ki zid mein
hum kisi aur se ishq na lada payenge

us reshmi jism ki narmi aur garmahat
woh bhare jawa badan par maheen tang libaaz
socha na tha in sard raaton mein haq phir na jata payenge
aur socha na ki har lamha tadap kar
tumhe apne sapno mein lane ki koshish mein
hum sari zindagi kabhi so hi na payenge 

©Rakesh 2012